Jiski aankhon ka mein tha Taara,
Woh thi Meri Maa.
Usne jo maanga woh mila tha,
Mujhe paakar mili, duniya ki khushiyaan saari ,
Khushiyon se pagal ho gayi thi jo naari
Woh thi meri Maa.
Rota rehta tha apni Maa ke bina,
Woh apne aansuonkon chupati,
Haskar mujhe woh chodne aati,
Jisse meri chinta rehti thi har pal,
Woh thi meri Maa.
Garam garam khana mujhko khilaye,
Mere liye saare din ghar rehti thi,
Mujhe akele naa chodha karti,
Jiska maksat tha mujhe bada karna,
Woh thi meri Maa.
Unko pareshaan karta hi jaau,
Daatti thi mujhko gusse se woh toh,
Fir pyaar se gale lagaati thi mujhko.
Mein kabhi agar bimaar ho jaau,
Din raat woh mera khayaal rakhti thi,
Jo mere liye kuch bhi kar deti,
Woh thi meri Maa.
koi bura kahe ya pareshaan kare,
Par woh sabke saath acche se pesh aaye,
Muskurakar sabki madat kar jaaye,
Jo dusron ke liye itna sab karti,
Woh thi meri Maa.
Meri acchi dost bhi wahi thi,
Bachpan se jabse uska haath tha thaama,
Ab tak usne mera saath tha diya,
Jiske bina duniya lage mujhko adhuri,
Woh thi meri Maa.
Fir bhi mera chehra dekh kar has padti thi,
Uske dard ko mein naa dekh paau,
Par woh chup-chap sab kuch sehan karti thi.
Uske aakhari pal par mein use,
Bachaane ke liye naa kuch kar paaya,
Ek laachaar insaan ki tarah,
Apni aap ko maine paaya,
Jiski kami rahegi jindagi mein har din,
Woh thi meri Maa.
Aankhen meri aansuonse bhar aaye,
Par hamesha woh dil mein rahegi,
Uska pyaar meri taakat banegi.
Uske armaanokon pura karunga,
Woh jaisa chahti thi waisa banunga,
Bas ye dua karta hoon Khuda se,
Use apne paas bulaake,
Khush rakhna jyaada sabse,
Jisko banaana chahu har janam mein apni Maa,
Woh thi meri Maa,
Woh rahegi meri Maa,
Woh rahegi meri Maa… www.keralites.net
To subscribe send a mail to Keralites-subscribe@yahoogroups.com.
Send your posts to Keralites@yahoogroups.com.
Send your suggestions to Keralites-owner@yahoogroups.com.
To unsubscribe send a mail to Keralites-unsubscribe@yahoogroups.com.
Homepage: http://www.keralites.net
No comments:
Post a Comment